View Full Version : Sher, Shayari, Nazms...Aao Likho Dil Ki Baat! ;)
PreciousPari
October 8th, 2003, 11:18 PM
Zakhm Dey ney Ka Andaaz Kuch Aisa Hai, Zakhm dey kar puchtey hai ab hal kaisa hai, kisi eik se gila kya karna yaaro, sari duniya hi aisi hai :( :cry:
ilikecheese
October 8th, 2003, 11:34 PM
eh?
PreciousPari
October 8th, 2003, 11:38 PM
:? :shock: :roll: Am I the only one that knows how to speak hindi in here? :? If not then this forum, well topic applies to those who do! :) :wink:
ilikecheese
October 8th, 2003, 11:40 PM
well i can speak it and understand it, but reading it is another thing.
djwicked
October 8th, 2003, 11:40 PM
:? :shock: :roll: Am I the only one that knows how to speak hindi in here? :? If not then this forum, well topic applies to those who do! :) :wink:
nah i know .. i know
check my siggy
.. Dil cheez hai kya jaanaa, yeh jaan bhi tummare hai
fattygirl
October 8th, 2003, 11:41 PM
yaar pari! u stole ma topic of CRAZY SHAYARI and stupid stuff! i m hating u
lol
naw...i will submit some hindi stuff later...rite now gotta do laundry! :roll: ...
uff!
laterz
i forgive u for stealing ma THOUGHTS!!!!
PreciousPari
October 8th, 2003, 11:59 PM
lollllllllllllz oops fattygirl! shit! im so sowiee :oops: :cry: I didnt even see it i swear! ahhh shizzzz, hehe thanks girl! maybe u can post some of ur stuff here! anyone is welcome! :) :D
ilikecheese
October 9th, 2003, 12:00 AM
even me? ^_^
PreciousPari
October 9th, 2003, 12:05 AM
lolz even u mr cheese! Juss dont cut the cheese in here! ewww :p
ilikecheese
October 9th, 2003, 12:06 AM
:oops: to late
PreciousPari
October 9th, 2003, 12:08 AM
lollllllllllllllz ewwwwwwwwww, now u seriously need to get away from me !!!! :p
ilikecheese
October 9th, 2003, 12:10 AM
<pouts and walks away (from this topic as well)>
PreciousPari
October 9th, 2003, 12:18 AM
okay mr cheese suit urself! tc bye bye :) and enjoy ur evening!
PreciousPari
October 9th, 2003, 01:26 AM
Hum tumhay chahtey haiN aisey
Marnay wala koi zindagi chahta ho jaisey
Rooth jao agar tum tau kya ho
Rooth jao agar tum tau kya ho..
Pal meiN aisa lagay, Jism sey jaan jaisey juda ho :cry:
Zindagi bin tumharey adhoori
Zindagi bin tumharey adhoori
Tumko paa looN agar, Har kamee meri ho jaaye poori :D
Ley chaleNgay tumhay hum wahaaN par
Ley chaleNgay tumhay hum wahaaN par
Tanhayi sanam shehnayi ban jaaye jahaaN par :)
Hum tumhay chahtey haiN aisey
Marnay wala koi zindagi chahta ho Jaisey
liquiddreamz
October 9th, 2003, 12:16 PM
Main bhool jaon tumhain ab yehi munasib hay
magar bholana bhi chahoon tu kis tarah bhoolon
keh tum tu phir bhi haqeeqat ho koi khawab naheen
yahan tu dil ka yeh aalam hay kioon
bhola saka na yeh woh silsila jo tha bhi naheen
woh eik khayal ..khayal jo awaz tak gaya hi naheen
woh aik baat jo main keh naheen saka tum say
woh aik rabt jo hum main kabhi raha hi naheen
mujhay hay yaad woh saab jo kabhi huwa hi naheen
agar yeh haal hay dil ka tu koi samjhaiy
Main bhool jaon tumahin ab yehi munasib hay!!
Gunslinger
October 9th, 2003, 12:20 PM
Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya
Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ik faasla rehnay diya
Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya
Main samjhta tha khushi degi mujhay `Sabir' fareb,
Isliyey mainay gamon say raabta rehnay diya
Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya
Gunslinger
October 9th, 2003, 12:21 PM
Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai
Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamanay mein meray naam say badnaam to hai
Meray hissay mein koi jaam na aaayaa na sahi,
Teri mehfil mein meray naam koi shaam to hai
Dekh kar log mujhay naam tera letay hain,
Is pay main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai
Woh sitamghar hi sahi dekh kay usko `Sabir',
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai
Gunslinger
October 9th, 2003, 12:23 PM
Kal chodvi ki raat thi,
shab ber raha charcha tera,
Kuch ne kaha ye chaand he,
kuch ne kaha chehra tera,
Hum b wahinh mojuudh tey,
humse b sab poocha kiye,
Hum hans diye, hum chup rahe, manzoor tha parda tera,
Is sheher mai kis se mile,
humse tho chootti mehfi'lienh,
Har shakhs tera naam le,
har shakhs deewana tera,
Koochey ko tere chorh kar,
jogi hi ban jae'ienh magar,
Jungle tere, parbath tere, basti teri, sehra tera,
Kal chodvi ki raat thi...
Gunslinger
October 9th, 2003, 12:25 PM
teri bataain hi sunanay aa'e
dost bhi dil hi dokhanay aa'e
phool khilte hein tu hum sochtae hein
teray aanay ke zamaanay aa'e
aisi kuch chup si lagi hai jaise
hum tujhe haal sunanay aa'e
ishq tunha hai sir-e munzil-e ghum
kaun yeh boojH uthanay aa'e
ajnabi dost humein dekh keh hum
kuch tujhe yaad dilaanay aa'e
dil dharakta hai safr ke hungaam
kaash phir koi bulanay aa'e
ab tu rounay se bhi dil dukhta hai
shaid ab hosh thikanay aa'e
kya kahein phir koi busti ujri
laug kyooN jashun mananay aa'e
so raho maut ke pahloo mein Faraz
nind kis waqt na janay aa'e
Gunslinger
October 9th, 2003, 12:27 PM
I am not a poetry fan but the previous few shairs are the ones I like and they were sent to me by someone, I don't personally show this much enthusiasm for poetry. I liked these so I thought I'd share here. Ciao Peace :D
PreciousPari
October 9th, 2003, 06:13 PM
awwwwwwwwww thankoooo for sharing all those shers and nazms! wahhh bahot khoob guys! i simply loved them! those r also mah fav! keep up the good work! and keep postin! :D
liquiddreamz
October 9th, 2003, 06:59 PM
Sach hay kuch naheen hay
Main hoon Khali Hath
Lekan Kuch hay
Meray sab ehsas
Sach hay
Tum kaheen naheen ho
Magar kuch hay Aas paas
SHiad mera Ehsaas.....
PreciousPari
October 9th, 2003, 08:52 PM
Jahaan gaaye thay khushiyOn kay taranay
Muqaddar dekhiye rOye vahin par
Huey Masjid sey gum jOOtey hamarey
Jahaan sey paaye thay khOye vahin par :lol: :lol:
PreciousPari
October 9th, 2003, 08:53 PM
Tu paas bhi hO tau dil beqaraar apna hai
Kay hum kO tera nahi intezaar apna hai
Miley kOi bhi tera zikr cherh detay hain
Kay jaisey saara jahaan raazdaar apna hai
vO dOOr hO tau bajaa tark-e-dosti ka khayaal
vO saamnay hO tau kab ikhtiyaar apna hai
Zamaanay bhar kay dukhOn kO lagaa liya dil sey
Is aasrey pay kay ik ghum-gusaar apna hai
'Faraz' raahat-e-jaan bhi vahi hai kya keejay
vO jis kay haath sey seena-figaar apna hai
PreciousPari
October 10th, 2003, 12:40 PM
Jo kahta tha aksar mujhko
Chand gulab aur tera chehra
teno eik se lagtay hai
shayad is kokhabar thi
chand bana shub ka hisa
aur gulab kay ser par patjhar
mujh ko dard-e-hijar mila hai :cry:
Gunslinger
October 10th, 2003, 02:32 PM
Jo kahta tha aksar mujhko
Chand gulab aur tera chehra
teno eik se lagtay hai
shayad is kokhabar thi
chand bana shub ka hisa
aur gulab kay ser par patjhar
mujh ko dard-e-hijar mila hai :cry:
Aww that was a nice one. But why sho sad Pari kya huwa ? lol Liven up
PreciousPari
October 10th, 2003, 02:40 PM
ufff sad isliye na ki woh ek dard bari nazm thi lekhen bahot achi bhi! aur rona isliye kyun ki kisi ney mujhko candy nahi diya abhi tak :( wehhhhhhhhhhh :cry: :evil:
Gunslinger
October 10th, 2003, 02:44 PM
lol... ya it was sad but it was nice main ne kaha achi nahi thee ? :) haan dard bhari zaroor thee ... aur candy ke liyay to aap UNN say raabta karen BTW what's the male form of Pari ? lol WOHI WOHI Unhi ki baat kar raha hoon lol Ciao Peace :D
Azeem
October 10th, 2003, 02:47 PM
"Aankhon Ki Baathein"
Aankhon ki baathon ko, Karlo hontoen say
Dil ki jo bhaathein hain, Karlo Mujhsay
Aankhon ki baathon ko, Karlo hontoen say
Dil ki jo bhaathein hain, Karlo Mujhsay
Tum chalae gaayae istherhaan, Mein kuch bhi kar na saka
Tum chalae gaayae istherhaan, Mein kuch bhi kar na saka
Kaisi hai baybasee, Pass ab tum naheen
Ab dil yeh kya karae, Hona ho tho khwabon mae aajao naa
Aankhon ki baathon ko, Karlo hontoen say
Dil ki jo bhaathein hain, Karlo Mujhsay
Dhoondon tumae mein har jagaan, Phir bhi tumein mein dhoond paayoon na
Dhoondon tumae mein har jagaan, Phir bhi tumein mein dhoond paayoon na
Bus youheen chupke say, Mera dil ke duniya mein
Kar do ujalae, Aajao naa
Aankhon ki baathon ko, Karlo hontoen say
Dil ki jo bhaathein hain, Karlo Mujhsay
fattygirl
October 10th, 2003, 07:01 PM
Kis taraha karoon shukria aapka
aapne humari zindagi banaa dee
yoon hi bewajaha jiye jaa rahe the
aapne jine ki wajaha bataa dee
badi nek thee yeh saanse muzse
aapne inhe kya shayri soona dee
kitni khamosh thee dhadkane meri
aapki chooan ne ye kya deewanagi sikha dee..
not ma original...see i rap...not write urdu stuff!
pshh..no way
Gunslinger
October 12th, 2003, 10:48 AM
Subh-e-Nau main Shaam-e-Gham main
Kabhi Hans Kay Kabhi Ro Kay Ik Dujay Ke Dil Main Kho Kay
Yaadon ki barish main bheegay thay ham
Khiyaloun ke aangan main aai thay tum
Baadal ke aanchal main thay Sunehray do badan
Chaltay thay jab woh dono Tarasti thee pawan
Khushboo se Khushboo khaai, Mulaaim saa milan
Lagta tha jaisay Sadiyoun purani ho lagan
Kuch bhi nahi hai bas main Toofani hai ye raat
Miltay bichartay pal hain Bikhartee kaainaat
Iss say ziada ham say Na ho ga intezaar
Is hee Jahaan main de day qiyamat ki ayaat
Yaadon ki barish main bheegay thay ham
Khiyaloun kay aangan main aai thay tum
Subh-e-Nau main Shaam-e-Gham main
Ok this is a song by Junoon by the title of "Baarish" I love it :) I like the lyrics
liquiddreamz
October 12th, 2003, 08:18 PM
kuch khawab abhi adhoray hain
jo khawab abhi adhoray hain
woh khawab to zinda rahtay hain
tu tabeer unhain nahi milti
jo akas banay tasawar mai
woh tasweer unhain nahi milti
par khawab to khawab hotay hain
jis ankh mai janam lentay hain
us aankh mai mujasam rahtay hain
shaid kabhi woh pooray hon
us aaas mai zinda rahtay hain
fattygirl
October 13th, 2003, 03:56 AM
Dokhaa....
by: Daljeet Kaur
Na kholti main apne dil ka darvajja,
Agar mujhey yeh ilm hota,
Mohabbat toh sirf ek dhoka hai,
Har koi Heer Ranjhey ki tarha nahin hotaa....
Woh pyar ki baatein, woh milney ke vaadey,
Yeh toh sabh fasana tha,
Rotaa na dil agar tootne par,
To aaj zaroor main khudaa hotaaa........
yea i dun believe in lov either..lol....
not yet i guess...find me someone! haha
PreciousPari
October 13th, 2003, 07:06 PM
kya ye bhi zindagi hai ki raahat kabhi nah ho
Aisi bhi tau kisi say mohabbat kabhi nah ho
Vaada zaroor kartey haiN aatey nahi kabhi
Phir ye bhi chaahtey haiN shikayat kabhi nah ho
Shaam-e-visaal bhi ye taghafful ye berukhi
Teri raza hai mujhko masarrat kabhi nah ho
Ehsaas nay diye haiN mujhay kis tarah fareb
Mujhsa bhi koi saada tabiyat kabhi nah ho
Lab tau ye keh rahay haiN kay uth, barh kay choom lay
AaNkhoN ka ye ishara kay jurrat kabhi nah ho
Dil chaahta hai phir wohi fursat kay raat din
Mujhko tau terey khayaal sey fursat kabhi nah ho
PreciousPari
October 21st, 2003, 02:41 AM
nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad
mai.n kaise aur kis simt mo.Dataa Khud ko
kisii ki chaah na thii dil me.n terii chaah ke baad
zamiir kaa.Np to jataa hai aap kuchh bhii kahe.n
vo ho gunaah se pahale ke ho gunaah ke baad
kaTii huii thii.n tanaabe.n tamaam rishto.n kii
chhupaataa sar mai.n kahaa.N tujhase rasm-o-raah ke baad
havas ne to.D dii baraso.n kii saadhanaa merii
gunaah kiyaa hai ye janaa magar gunaah ke baad
gavaah chaah rahe the vo begunaahii kaa
zubaa.N se kah na sakaa kuchh Khudaa-gavaah ke baad
Khatuut kar diye vaapas magar merii nii.nde.n
i.nhe.n bhii chho.D do ik raham kii nigaah ke baad
liquiddreamz
October 21st, 2003, 08:12 AM
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
tham lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dain
raston ki marzi hay
mzsajjad
October 21st, 2003, 12:18 PM
Zakhm Dey ney Ka Andaaz Kuch Aisa Hai, Zakhm dey kar puchtey hai ab hal kaisa hai, kisi eik se gila kya karna yaaro, sari duniya hi aisi hai :( :cry:
not bad at all =) , well written
mzsajjad
October 21st, 2003, 12:23 PM
kya ye bhi zindagi hai ki raahat kabhi nah ho
Aisi bhi tau kisi say mohabbat kabhi nah ho
Vaada zaroor kartey haiN aatey nahi kabhi
Phir ye bhi chaahtey haiN shikayat kabhi nah ho
Shaam-e-visaal bhi ye taghafful ye berukhi
Teri raza hai mujhko masarrat kabhi nah ho
Ehsaas nay diye haiN mujhay kis tarah fareb
Mujhsa bhi koi saada tabiyat kabhi nah ho
Lab tau ye keh rahay haiN kay uth, barh kay choom lay
AaNkhoN ka ye ishara kay jurrat kabhi nah ho
Dil chaahta hai phir wohi fursat kay raat din
Mujhko tau terey khayaal sey fursat kabhi nah ho
wow very nice again but when ever you write or copy something like that -- its nice to say who wrote it =)
mzsajjad
October 21st, 2003, 12:39 PM
Hum tumhay chahtey haiN aisey
Marnay wala koi zindagi chahta ho jaisey
Rooth jao agar tum tau kya ho
Rooth jao agar tum tau kya ho..
Pal meiN aisa lagay, Jism sey jaan jaisey juda ho :cry:
Zindagi bin tumharey adhoori
Zindagi bin tumharey adhoori
Tumko paa looN agar, Har kamee meri ho jaaye poori :D
Ley chaleNgay tumhay hum wahaaN par
Ley chaleNgay tumhay hum wahaaN par
Tanhayi sanam shehnayi ban jaaye jahaaN par :)
Hum tumhay chahtey haiN aisey
Marnay wala koi zindagi chahta ho Jaisey
movie qurbani -- hehe i have that one memmorized , damn zeenat aman looked good in that movie :wink: but you forgot the starting lines to that song , which are some of the best , here ill finish it
"Naseeb insaan ka chahatt se hi sawartaa hai ,
to kiya Burra iss mein jo, koi kissi par martaa hai " :roll:
mzsajjad
October 21st, 2003, 12:43 PM
Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai
Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamanay mein meray naam say badnaam to hai
Meray hissay mein koi jaam na aaayaa na sahi,
Teri mehfil mein meray naam koi shaam to hai
Dekh kar log mujhay naam tera letay hain,
Is pay main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai
Woh sitamghar hi sahi dekh kay usko `Sabir',
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai
yup the consequences of betrayal in love -- this should teach people never to say "I love YOU" -- when you dont fucking mean it .
mzsajjad
October 21st, 2003, 01:01 PM
this is one of my favorite songs and also some of the best shayari i have ever read =)
Yeh Kahan Aa Gaye Hum
Movie: SILSILA
Singers: AMITABH BACHCHAN AND LATA MANGESHKAR
--MALE--
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum voh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain
--FEMALE--
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Teri baahon mein hai jaanam
Mere jism-o-jaan pighalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
--MALE--
Yeh raat hai, yeh tumhaari zulfein khuli hui hai
Hai chaandni ya tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hai
Yeh chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hai ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo
Yeh pattiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho
--FEMALE--
O, tu badan hai main hoon chhaaya
Tu na ho to main kahan hoon
Mujhe pyaar karne waale
Tu jahan hai main vahan hoon
Hamein milna hi tha hamdam
Issi raah pe nikalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Mm, meri saans saans maheke
Koi bheena bheena chandan
Tera pyaar chaandni hai
Mera dil hai jaise aangan
Koi aur bhi mulaayam
Meri shaam dhalte dhalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
--MALE--
Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deevaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi
--FEMALE--
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh kahan aa gaye hum
mzsajjad
October 21st, 2003, 01:14 PM
this song has some powerfull lyrics =)
Rote huye aate hain sab
Movie: MUKADDAR KA SIKANDAR
Singers: KISHORE KUMAR
Lyrics:
Rote huye aate hain sab hasataa huaa jo jaayegaa
wo mukaddar kaa sikandar, jaanemannn kahalaayegaa
wo sikandar kyaa thaa jissne zulm se jeetaa jahaan
pyaar se jo jeete dilon ko, wo jhukaa de aasamaan
jo sitaaron par kahaanee pyaar ki likh jaayegaa
wo mukaddar kaa sikandar, jaanemannn kahalaayegaa
zindagee to bewafaa hai, yeh ek din thhukarayegee
maut mehaboobaa hai, apane saaath lekar jaayegee
marr ke jeene ki adaa jo duniyaan ko sikhalaayegaa
wo mukaddar kaa sikandar, jaanemannn kahalaayegaa
hummne maanaa ye zamaanaa dard ki jaageer hai
har kaddumm pe aansooun kee yeh ek nayee zanjeer hai
sajjae-ghamm par jo khushee ke geet gaataa jaayegaa
wo mukaddar kaa sikandar, jaanemannn kahalaayegaa
Rote huye aate hain sab hasataa huaa jo jaayegaa
wo mukaddar kaa sikandar, jaanemannn kahalaayegaa
PreciousPari
October 26th, 2003, 07:35 PM
AANSOO
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain
Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain
Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain
Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain
Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain
Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Hain
liquiddreamz
October 29th, 2003, 09:10 PM
Khawaab Ki Musaafit Say ..
Wasl Ki Tamaazat Say ..
Roz-u-Shab Riyaazat Say ..
Kya Mila Muhabbat Say ..
Aik Hijr Ka Sehra ..
Aik Shaam Yaadu Ki ..
Ek Thaka Huwa Aansu !!
tunisnibil
October 30th, 2003, 04:26 PM
i didnt write this. or did i?
twisting and turning in my bed
cant stop thinking about what u said
last time we talked was hours ago
but the feelings still in my bone like a hard pice of leggo
so i am telling you girl
keep on making me paralel
to the ground
just the sound
of your voice
leaves me no choice
but to grip it tighter
feeles like my head is getting lighter
so i am telling you girl
my world goes in a swirl
at the sight of your face
poketing my hand just incase
a bulge should appear
dont want ppl to look at me queerer
you girls just dont understand
the pain of being a man
so i just want to stand up
like a panda
and sit back down
with out making a sound
cuz i love u baby
cuz you so blazing
the lust is fazing
falling in love
and dont wanna come back up above
Samad
January 10th, 2005, 04:17 AM
Ghar jaisi koi baat meray ghar main nahi hai
Kiss kiss ko bataoon main ghar kyoon nahi jata
Yeh to unhain maloom hai key main toot chuka hoon
Hairut to yah hai key main bikhar kyoon nahi jata
:sniff:
jåL þaRi
January 10th, 2005, 04:18 AM
Mujhpe Toofan Uthaye Logo Ne... Mooft Behte Bithaye Logo Ne.. Kya Tamasha Hai Yeh Jona Dekhe The.. Wo Tamasha Yeh Dikhaye Logo Ne
a.mystery
January 10th, 2005, 04:22 AM
Hum tumhay chahtey haiN aisey
Marnay wala koi zindagi chahta ho jaisey
Rooth jao agar tum tau kya ho
Rooth jao agar tum tau kya ho..
Pal meiN aisa lagay, Jism sey jaan jaisey juda ho :cry:
Zindagi bin tumharey adhoori
Zindagi bin tumharey adhoori
Tumko paa looN agar, Har kamee meri ho jaaye poori :D
Ley chaleNgay tumhay hum wahaaN par
Ley chaleNgay tumhay hum wahaaN par
Tanhayi sanam shehnayi ban jaaye jahaaN par :)
Hum tumhay chahtey haiN aisey
Marnay wala koi zindagi chahta ho Jaisey
This song is the bomb.
PreciousPari
January 10th, 2005, 04:25 AM
Isnt it? It is lovely, one of my favs :D
And wow whadya know! My thread is still ALIVE! Its a miracle! :p
Samad
January 10th, 2005, 04:33 AM
Doore ander kahin tabahi machaa dehte hai
Woh ashk jo ankhon se behe nahi paate
Tumhare saath rehna bhi hai mushkil baut
Aur tumhare bin hum reh bhi nahi paate
vBulletin® v3.6.9, Copyright ©2000-2010, Jelsoft Enterprises Ltd.